To shah e Khuban To jaan e janaan, hai chehra uumm al-kitab tera
shayar : Saim Chishti
To shah e Khuban To jaan e janaan, hai chehra uumm al-kitab tera
na ban saki hai, nah ban sakay ga, misaal teri jawab tera
To sab se awwal, to sab se aakhir, mila hai hsn e Dwam tujh ko
Hai Umar lakhoon baras ki teri, magar hai taaza shabab tera
khuda ki ghairat ney daal rakhay hain tujh pay sattar hazaar parday
Jahan mein ban jatay tor lakhoon jo ik bhi uthta hijaab tera
Ho mushk o amber, ya bwuee jannat, nazar mein is ki hai be haqeeqat
mila hai jis ko, Mala hai jis ney paseena rashk ghulaab tera
Mein tairay husn o byan ke sadqy, mein teri meethi zabaan ke sadqy
ba rang khusbhoo dilon pay utra hai kitna dilkash khitaab tera
Hai to bhi Saim ajeeb insaa ke khauf mehashar se hai harasan
arrey to jin ki hai naat parhta wohi to laingay hisaab tera.